चढ़ता सूरज धीरे धीरे | Charta Sooraj with Lyrics | Aziz Nazan | Rajesh Modi



Heart touching original Qawwali Live performance by Rajesh Modi as a part of the concert #Fusion café .. the most unique musical concert ever.. solely conceived , produced & directed by Rajesh Modi #show dated : 28th August 2016

For Bookings Call us at +91-8693829111
It’s an honest attempt to sing this epic , most famous quawwali by Aziz Nazan.

*Chadhta Sooraj with Lyrics | Aziz Nazan | Rajesh Modi*
For Lyrics please Click on CC – Subtitles/Closed Casptions
Please Do Give a Thumbs Up , Subscribe & Share if You Like it.

Original Singer / Qawwal : Aziz Nazan & Chorus
Lyricis by : Qaiser Ratnagirvi
Music Composer: Aziz Nazan
Year : 1975
Abdul Aziz Kunji Markar, best known as Aziz Naza (or Nazan) (हिन्दी – अज़ीज़ नाज़ां) (7th May 1938 – 8 October 1992) was an international fame singer. He is particularly remembered for the genre known as Qawwali.

Full Lyrics :
Huey Naam-var
BE-NISHAAN KAISE KAISEEE
ZAMEEN KHA GAEE
NAUJAWAAN KAISE KAISE

aaj jawaani par itraane waale kal pachtaayega

chorus – aaj jawaani par itraane waale kal pachtaayega

aaj jawaani par itraane waale kal pachtaayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega

chorus – chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
music – violin

Chorus – dhal jaayega dhal jaayega
dhal jaayega dhal jaayega

Music
tu yahan musaafir hai yeh saraa-e-faani hai
chaar roz ki mehmaan teri zindagani hai
zaN, zameen, zaR, zevar kuch na saath jaayega
khaali haath aaya hai khaali haat jaayega
jaan kar bhi ban raha hai deewane
apni umr-e-faani par tan raha hai deewane

Is kadar tu khoya hai is jahan ke mele mein
tu khuda ko bhula hai fans ke is jhamele mein
aaj tak yeh dekha hai paane waala khota hai
zindagi ko jo samjha zindagi pe rota hai
mitne waali duniya ka aitbaar karta hai
kya samajh ke tu aakhir is se pyar karta hai
apni apni fikron mein , jo bhi hai woh uljha hai

chorus – jo bhi hai woh uljha hai

zindagi haqeeqat mein kya hai kaun samjha hai

chorus – kya hai kaun samjha hai

aaj samajhleeeeeee
aaj samajhle kal yeh mauka haath na tere aayega
oh gaflat ki neend mein sone waale dhoka khaayega

chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
music
Chorus – dhal jaayega dhal jaayega
dhal jaayega dhal jaayega

Music –
maut ne zamaane ko yeh sama dikha dala
kaise kaise rustam ko khaak mein mila dala
yaad rakh , sikandar ke hosle to aali they
jab gaya tha duniya se dono haath khaali they
ab na woh halaku hai aur na uske saathi hai
jangaju o poras hai aur na uske haathi hai
kal jo tanke chalte they apni shaan-o-shaukat par
shamma tak nahi jalti aaj unki turbat par
adna ho ya aala ho sabko laut jaana hai

Chorus- sabko laut jaana hai , sabko laut jaana hai(2)

muflis-o-tavangar ka kabr hi thikaana hai

Chorus – kabr hi thikaana hai (2)
jaisi karniiiiiiiiiiiiiiii
jasi karni waisi bharni aaj kiya kal paayega
sar ko utha kar chalne waala ek din thokar khaayega
chadta suraj dheere dheere

[Chorus – dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
music – violin
dhal jaayega dhal jaayega
dhal jaayega dhal jaayega ] chorus end

Music
maut sabko aani hai kaun isse choota hai
tu fanah nahi hoga yeh khayaal jhoota hai

saans tootte hi sab rishte toot jaayenge
baap maa behen biwi bacche choot jaayenge
tere jitne hai bhai waqt ka chalan denge
cheen kar teri daulat do hi gaz kafan denge

jinko apna kehta hai kab yeh tere saathi hai
kabr hai teri manzil aur yeh baraati hai

laake kabr mein tujhko murda paak daalenge
apne haathon se tere moonh pe khaak dalenge

teri saari ulfat ko khaak mein mila denge
tere chahne waale kal tujhe bhulaa denge

isliye yeh kehta hoon khoob sochle dil mein
kyon fansaaye baitha hai jaan apni mushkil mein
kar gunaahon se tauba aage bad sambhal jaaye

Chorus – aage bad sambhal jaaye

dam ka kya bharosa hai jaane kab nikal jaaye

Chorus – jaane kab nikal jaaye

mutthi baand ke aane waaleeeeeeee
mutthi baand ke aane waale haath pasaare jaayega
dhan daulat jaagir se tune kya paaya kya paayega

chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega dhal jaayega
dhal jaayega dhal jaayega

source


No comments: